Aise tu mujhse yun pooche ki kaha hai mera dil phirse laapata
Kaise tujhse kahu mai tu hi hai wajah dil ke kho jaane ka,
Badli badli si zameen hai aur hai yeh aasman
Doori thodi si kum ho jaye aur kum ho yeh faasla
Phir tu mujhko yun dekhe,
Aur bikhra de Khushboo kuch is tarha
Raat ka chaand muskaye toh
Aisi khwaabon ko bhi jaga de baawra
Kuchh bole tu, toh gaye kokila
Aur has de toh, sharmayein dil mera
Haath thaame tu, dikh jaye ghar mera
Haan tu kehde toh, pura ho yeh karwaan
Kaash in hoton pe sahi lafz mai piroke
Koi shayari mein kehti man ki baat
Aur un lamho ko tijori mein samet ke
Yun rakh leti chupake apne paas
Choti choti si baaton se mai banalu aashiyaaan
Doori thodi si kum ho jaye aur kum ho yeh faasla
Phir tu mujhko le jaye
Aur bikhra de Khushboo kuch is tarha
Raat ka chaand muskaye toh
Aisi khwaabon ko bhi jaga de baawra